juz  jurm-e-ishq  koī  bhī  sābit  kiyā  gunāh
nāhaq  hamārī  jaan  lī  achchhe  ho  vaah  vaah
ab  kaisā  chaak  chaak  ho  dil  us  ke  hijr  meñ
guththavāñ  to  laḳht-e-dil  se  nikaltī  hai  merī  aah
shaam  shab-e-visāl  huī  yaañ  ki  is  taraf
hone  lagā  tulūa  hī  ḳhurshīd  rū-siyāh
guzrā  maiñ  us  sulūk  se  dekhā  na  kar  mujhe
barchhī  sī  laag  jā  hai  jigar  meñ  tirī  nigāh
dāmān-o-jeb  chaak  ḳharābī-o-ḳhastagī
un  se  tire  firāq  meñ  ham  ne  kiyā  nibāh
betābiyoñ  ko  sauñp  na  denā  kahīñ  mujhe
ai  sabr  maiñ  ne  aan  ke  lī  hai  tirī  panāh
ḳhūñ-basta  baare  rahne  lagī  ab  to  ye  mizha
aañsū  kī  buuñd  jis  se  Tapaktī  thī  gaah  gaah
gul  se  shagufta  daaġh  dikhātā  huuñ  tere  tiiñ
gar  muvāfaqat  kare  hai  tanik  mujh  se  sāl-o-māh
gar  manā  mujh  ko  karte  haiñ  terī  galī  se  log
kyūñkar  na  jā.ūñ  mujh  ko  to  marnā  hai  ḳhvā-maḳhvāh
nāhaq  ulajh  paḌā  hai  ye  mujh  se  tarīq-e-ishq
jaatā  thā  'mīr'  meñ  to  chalā  apnī  raah  raah