dair-o-haram  se  guzre  ab  dil  hai  ghar  hamārā
hai  ḳhatm  us  aable  par  sair-o-safar  hamārā
palkoñ  se  terī  ham  ko  kyā  chashm-dāsht  ye  thī
un  barchhiyoñ  ne  bāñTā  bāham  jigar  hamārā
duniyā-o-dīñ  kī  jānib  mailān  ho  to  kahiye
kyā  jāniye  ki  is  bin  dil  hai  kidhar  hamārā
haiñ  tere  ā.īne  kī  timsāl  ham  na  pūchho
is  dasht  meñ  nahīñ  hai  paidā  asar  hamārā
joñ  sub.h  ab  kahāñ  hai  tūl-e-suḳhan  kī  fursat
qissa  hī  koī  dam  ko  hai  muḳhtasar  hamārā
kūche  meñ  us  ke  jā  kar  bantā  nahīñ  phir  aanā
ḳhuun  ek  din  giregā  us  ḳhaak  par  hamārā
hai  tīra-roz  apnā  laḌkoñ  kī  dostī  se
us  din  hī  ko  kahe  thā  aksar  pidar  hamārā
sailāb  har  taraf  se  ā.eñge  bādiye  meñ
joñ  abr  rote  hogā  jis  dam  guzar  hamārā
nashv-o-numā  hai  apnī  joñ  gard-bād  anokhī
bālīda  ḳhaak  rah  se  hai  ye  shajar  hamārā
yuuñ  duur  se  khaḌe  ho  kyā  mo'atabar  hai  ronā
dāman  se  bāñdh  dāman  ai  abr-e-tar  hamārā
jab  paas  raat  rahnā  aatā  hai  yaad  us  kā
thamtā  nahīñ  hai  ronā  do  dopahar  hamārā
us  kārvāñ-sarā  meñ  kyā  'mīr'  baar  kholeñ
yaañ  kuuch  lag  rahā  hai  shām-o-sahar  hamārā