hamāre  aage  tirā  jab  kisū  ne  naam  liyā
dil-e-sitam-zada  ko  ham  ne  thaam  thaam  liyā
qasam  jo  khā.iye  to  tāla-e-zuleḳhā  kī
azīz-e-misr  kā  bhī  sāhab  ik  ġhulām  liyā
ḳharāb  rahte  the  masjid  ke  aage  mai-ḳhāne
nigāh-e-mast  ne  saaqī  kī  intiqām  liyā
vo  kaj-ravish  na  milā  rāste  meñ  mujh  se  kabhī
na  sīdhī  tarah  se  un  ne  mirā  salām  liyā
mazā  dikhāveñge  be-rahmī  kā  tirī  sayyād
gar  iztirāb-e-asīrī  ne  zer-e-dām  liyā
mire  salīqe  se  merī  nibhī  mohabbat  meñ
tamām  umr  maiñ  nākāmiyoñ  se  kaam  liyā
agarche  gosha-guzīñ  huuñ  maiñ  shā.iroñ  meñ  'mīr'
pa  mere  shor  ne  rū-e-zamīñ  tamām  liyā