terā  ruḳh-e-muḳhattat  qur.ān  hai  hamārā
bosa  bhī  leñ  to  kyā  hai  īmān  hai  hamārā
gar  hai  ye  be-qarārī  to  rah  chukā  baġhal  meñ
do  roz  dil  hamārā  mehmān  hai  hamārā
haiñ  is  ḳharāb  dil  se  mash.hūr  shahr-e-ḳhūbāñ
is  saarī  bastī  meñ  ghar  vīrān  hai  hamārā
mushkil  bahut  hai  ham  sā  phir  koī  haath  aanā
yuuñ  mārnā  to  pyāre  āsān  hai  hamārā
idrīs  o  ḳhizr  o  iisā  qātil  se  ham  chhuḌā.e
un  ḳhūñ-giraftagāñ  par  ehsān  hai  hamārā
ham  ve  haiñ  sun  rakho  tum  mar  jaa.eñ  ruk  ke  yakjā
kyā  kūcha  kūcha  phirnā  unvān  hai  hamārā
haiñ  said-gah  ke  merī  sayyād  kyā  na  dhaḌke
kahte  haiñ  said  jo  hai  be-jān  hai  hamārā
karte  haiñ  bāteñ  kis  kis  hañgāme  kī  ye  zāhid
dīvān-e-hashr  goyā  dīvān  hai  hamārā
ḳhurshīd-rū  kā  partav  āñkhoñ  meñ  roz  haigā
yaanī  ki  sharq-rūya  dālān  hai  hamārā
māhiyyat-e-do-ālam  khātī  phire  hai  ġhote
yak  qatra  ḳhuun  ye  dil  tūfān  hai  hamārā
naale  meñ  apne  har  shab  aate  haiñ  ham  bhī  pinhāñ
ġhāfil  tirī  galī  meñ  mindān  hai  hamārā
kyā  ḳhāndāñ  kā  apne  tujh  se  kaheñ  taqaddus
rūhul-qudus  ik  adnā  darbān  hai  hamārā
kartā  hai  kaam  vo  dil  jo  aql  meñ  na  aave
ghar  kā  mushīr  kitnā  nādān  hai  hamārā
jī  jā  na  aah  zālim  terā  hī  to  hai  sab  kuchh
kis  muñh  se  phir  kaheñ  jī  qurbān  hai  hamārā
banjar  zamīn  dil  kī  hai  'mīr'  milk  apnī
pur-dāġh  siina  mohr-e-farmān  hai  hamārā