mar  rahte  jo  gul  bin  to  saarā  ye  ḳhalal  jaatā
niklā  hī  na  jī  varna  kāñTā  sā  nikal  jaatā
paidā  hai  ki  pinhāñ  thī  ātish-nafsī  merī
maiñ  zabt  na  kartā  to  sab  shahr  ye  jal  jaatā
maiñ  girya-e-ḳhūnīñ  ko  roke  hī  rahā  varna
ik  dam  meñ  zamāne  kā  yaañ  rañg  badal  jaatā
bin  pūchhe  karam  se  vo  jo  baḳhsh  na  detā  to
pursish  meñ  hamārī  hī  din  hashr  kā  Dhal  jaatā
istāda  jahāñ  meñ  thā  maidān-e-mohabbat  meñ
vaañ  rustam  agar  aatā  to  dekh  ke  Tal  jaatā
vo  sair  kā  vaadī  ke  maa.il  na  huā  varna
āñkhoñ  ko  ġhazāloñ  kī  paañv  tale  mal  jaatā
be-tāb-o-tavāñ  yuuñ  maiñ  kaahe  ko  talaf  hotā
yāqūtī  tire  lab  kī  miltī  to  sambhal  jaatā
us  sīm-badan  ko  thī  kab  tāb-e-tāb  itnī
vo  chāndnī  meñ  shab  kī  hotā  to  pighal  jaatā
maarā  gayā  tab  guzrā  bose  se  tire  lab  ke
kyā  'mīr'  bhī  laḌkā  thā  bātoñ  meñ  bahal  jaatā