ġhazal  'mīr'  kī  kab  paḌhā.ī  nahīñ
ki  hālat  mujhe  ġhash  kī  aa.ī  nahīñ
zabāñ  se  hamārī  hai  sayyād  ḳhush
hameñ  ab  ummīd-e-rihā.ī  nahīñ
kitābat  ga.ī  kab  ki  us  shoḳh  ne
banā  us  kī  gaDDī  uḌaa.ī  nahīñ
nasīm  aa.ī  mere  qafas  meñ  abas
gulistāñ  se  do  phuul  laa.ī  nahīñ
mirī  dil-lagī  us  ke  rū  se  hī  hai
gul-e-tar  se  kuchh  āshnā.ī  nahīñ
navishte  kī  ḳhūbī  likhī  kab  ga.ī
kitābat  bhī  ek  ab  tak  aa.ī  nahīñ
judā  rahte  barsoñ  hue  kyūñki  ye
kināya  nahīñ  be-adā.ī  nahīñ
gila  hijr  kā  sun  ke  kahne  lagā
hamāre  tumhāre  judā.ī  nahīñ
siyah-tāla.ī  merī  zāhir  hai  ab
nahīñ  shab  ki  us  se  laḌā.ī  nahīñ