ye  'mīr'-e-sitam-kushta  kisū  vaqt  javāñ  thā
andāz-e-suḳhan  kā  sabab  shor  o  fuġhāñ  thā
jaadū  kī  puḌī  parcha-e-abyāt  thā  us  kā
muñh  takiye  ġhazal  paḌhte  ajab  sehr-bayāñ  thā
jis  raah  se  vo  dil-zada  dillī  meñ  nikaltā
saath  us  ke  qayāmat  kā  sā  hañgāma  ravāñ  thā
afsurda  na  thā  aisā  ki  juuñ  āb-zada  ḳhaak
āñdhī  thī  balā  thā  koī  āshob-e-jahāñ  thā
kis  martaba  thī  hasrat-e-dīdār  mire  saath
jo  phuul  mirī  ḳhaak  se  niklā  nigrāñ  thā
majnūñ  ko  abas  dāva-e-vahsaht  hai  mujhī  se
jis  din  ki  junūñ  mujh  ko  huā  thā  vo  kahāñ  thā
ġhāfil  the  ham  ahvāl-e-dil-e-ḳhasta  se  apne
vo  ganj  usī  kunj-e-ḳharābī  meñ  nihāñ  thā
kis  zor  se  farhād  ne  ḳhārā-shikanī  kī
har-chand  ki  vo  bekas  o  be-tāb-o-tavāñ  thā
go  'mīr'  jahāñ  meñ  kinhoñ  ne  tujh  ko  na  jaanā
maujūd  na  thā  tū  to  kahāñ  nām-o-nishāñ  thā