dil  ke  māmūre  kī  mat  kar  fikr  fursat  chāhiye
aise  vīrāne  ke  ab  basne  ko  muddat  chāhiye
ishq-o-mai-ḳhvārī  nibhe  hai  koī  darveshī  ke  beach
is  tarah  ke  ḳharj-e-lā-hāsil  ko  daulat  chāhiye
āqibat  farhād  mar  kar  kaam  apnā  kar  gayā
aadmī  hove  kisī  peshe  meñ  jur.at  chāhiye
ho  taraf  mujh  pahlvāñ  shā.er  kā  kab  aajiz  suḳhan
sāmne  hone  ko  sāhab  fan  ke  qudrat  chāhiye
ishq  meñ  vasl-o-judā.ī  se  nahīñ  kuchh  guftugū
qurb-o-bād  us  jā  barābar  hai  mohabbat  chāhiye
nāzukī  ko  ishq  meñ  kyā  daḳhl  hai  ai  bul-havas
yaañ  sa.ūbat  khīñchne  ko  jī  meñ  tāqat  chāhiye
tañg  mat  ho  ibtidā-e-āshiqī  meñ  is  qadar
ḳhairiyat  hai  'mīr'  sāhib-e-dil  salāmat  chāhiye