falak  karne  ke  qābil  āsmāñ  hai
ki  ye  pīrāna-sar  jāhil  javāñ  hai
ga.e  un  qāfiloñ  se  bhī  uThī  gard
hamārī  ḳhaak  kyā  jāneñ  kahāñ  hai
bahut  nā-mehrbāñ  rahtā  hai  yaanī
hamāre  haal  par  kuchh  mehrbāñ  hai
hameñ  jis  jaa.e  kal  ġhash  aa  gayā  thā
vahīñ  shāyad  ki  us  kā  āstāñ  hai
mizha  har  ik  hai  us  kī  tez  nāvak
ḳhamīda  bhauñ  jo  hai  zorīñ  kamāñ  hai
use  jab  tak  hai  tīr-andāzī  kā  shauq
zabūnī  par  mirī  ḳhātir  nishāñ  hai
chalī  jaatī  hai  dhaḌkoñ  hī  meñ  jaañ  bhī
yahīñ  se  kahte  haiñ  jaañ  ko  ravāñ  hai
usī  kā  dam  bharā  karte  raheñge
badan  meñ  apne  jab  tak  nīm-jāñ  hai
paḌā  hai  phuul  ghar  meñ  kaahe  ko  'mīr'
jhamak  hai  gul  kī  barq-e-āshiyāñ  hai