chhātī  jalā  kare  hai  soz-e-darūñ  balā  hai
ik  aag  sī  rahe  hai  kyā  jāniye  ki  kyā  hai
maiñ  aur  tū  haiñ  donoñ  majbūr-e-taur  apne
pesha  tirā  jafā  hai  sheva  mirā  vafā  hai
rū-e-suḳhan  hai  kīdhar  ahl-e-jahāñ  kā  yā  rab
sab  muttafiq  haiñ  is  par  har  ek  kā  ḳhudā  hai
kuchh  be-sabab  nahīñ  hai  ḳhātir  mirī  pareshāñ
dil  kā  alam  judā  hai  ġham  jaan  kā  judā  hai
husn  un  bhī  moīnoñ  kā  thā  aap  hī  sūratoñ  meñ
is  martabe  se  aage  koī  chale  to  kyā  hai
shādī  se  ġham-e-jahāñ  meñ  vo  chand  ham  ne  paayā
hai  iid  ek  din  to  das  roz  yaañ  dahā  hai
hai  ḳhasam-jān-e-āshiq  vo  mahv-e-nāz  lekin
har  lamha  be-adā.ī  ye  bhī  to  ik  adā  hai
ho  jaa.e  yaas  jis  meñ  so  āshiqī  hai  varna
har  ranj  ko  shifā  hai  har  dard  ko  davā  hai
nāyāb  us  guhar  kī  kyā  hai  talāsh  āsāñ
jī  Dūbtā  hai  us  kā  jo  tah  se  āshnā  hai
mushfiq  malāz  o  qibla  kaaba  ḳhudā  payambar
jis  ḳhat  meñ  shauq  se  maiñ  kyā  kyā  use  likhā  hai
tāsīr-e-ishq  dekho  vo  naama  vaañ  pahuñch  kar
juuñ  kāġhaz-e-havā.ī  har  sū  uḌā  phirā  hai
hai  garche  tifl-e-maktab  vo  shoḳh  abhī  to  lekin
jis  se  milā  hai  us  kā  ustād  ho  milā  hai
phirte  ho  'mīr'  sāhab  sab  se  jude  jude  tum
shāyad  kahīñ  tumhārā  dil  in  dinoñ  lagā  hai