ka.ī  din  sulūk  vidā.a  kā  mire  dar  pai  dil  zaar  thā
kabhū  dard  thā  kabhū  daaġh  thā  kabhū  zaḳhm  thā  kabhū  vaar  thā
dam-e-sub.h  bazm-e-ḳhush  jahāñ  shab-e-ġham  se  kam  na  thī  mehrbāñ
ki  charāġh  thā  so  tū  duud  thā  jo  patañg  thā  so  ġhubār  thā
dil  ḳhasta-lohū  jo  ho  gayā  to  bhalā  huā  ki  kahāñ  talak
kabhū  soz-e-sīnā  se  daaġh  thā  kabhū  dard-o-ġham  se  figār  thā
dil-e-muztarib  se  guzar  ga.ī  shab-e-vasl  apnī  hī  fikr  meñ
na  dimāġh  thā  na  farāġh  thā  na  shakeb  thā  na  qarār  thā
jo  nigāh  kī  bhī  palak  uThā  to  hamāre  dil  se  lahū  bahā
ki  vahīñ  vo  nāvak-e-be-ḳhatā  kaso  ke  kaleje  ke  paar  thā
ye  tumhārī  in  dinoñ  dostāñ  mizha  jis  ke  ġham  meñ  hai  ḳhūñ-chakāñ
vahī  āfat-e-dil-e-āshiqāñ  kaso  vaqt  ham  se  bhī  yaar  thā
nahīñ  tāza-dil  kī  shikastagī  yahī  dard  thā  yahī  ḳhastagī
use  jab  se  zauq-e-shikār  thā  use  zaḳhm  se  sarokār  thā
kabhū  jā.egī  jo  udhar  sabā  to  ye  kahiyo  us  se  ki  bevafā
magar  ek  'mīr'  shikasta-pā  tire  bāġh-e-tāza  meñ  ḳhaar  thā