qarār  dil  kā  ye  kaahe  ko  Dhañg  thā  aage
hamāre  chehre  ke  uupar  bhī  rañg  thā  aage
uThā.eñ  tere  liye  bad-zabāniyāñ  un  kī
jinhoñ  kī  ham  ko  ḳhushāmad  se  nañg  thā  aage
hamārī  aahoñ  se  siine  pe  ho  gayā  bāzār
har  ek  zaḳhm  kā  kūcha  jo  tañg  thā  aage
rahā  thā  sham.a  se  majlis  meñ  dosh  kitnā  farq
ki  jal  bujhe  the  ye  ham  par  patañg  thā  aage
kiyā  ḳharāb  taġhāful  ne  us  ke  varna  'mīr'
har  ek  baat  pe  dushnām-o-sañg  thā  aage