Meer Taqi Meer

is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
is ahd meñ ilāhī mohabbat ko kyā huā
chhoḌā vafā ko un ne muravvat ko kyā huā
ummid-vār-e-vāda-e-dīdār mar chale
aate hī aate yaaro qayāmat ko kyā huā
kab tak tazallum aah bhalā marg ke ta.iiñ
kuchh pesh aayā vāqi.a rahmat ko kyā huā
us ke ga.e par aise ga.e dil se ham-nashīñ
mālūm bhī huā na ki tāqat ko kyā huā
baḳhshish ne mujh ko abr-e-karam kī kiyā ḳhajil
ai chashm josh-e-ashk-e-nadāmat ko kyā huā
jaatā hai yaar teġh-ba-kaf ġhair kī taraf
ai kushta-e-sitam tirī ġhairat ko kyā huā
thī sāb-e-āshiqī kī badāyat hī 'mīr' par
kyā jāniye ki hāl-e-nihāyat ko kyā huā
Top Urdushayar.com