Meer Taqi Meer

jo is shor se mir rota rahega

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jo is shor se 'mīr' rotā rahegā
to ham-sāya kaahe ko sotā rahegā
maiñ vo rone vaalā jahāñ se chalā huuñ
jise abr har saal rotā rahegā
mujhe kaam rone se aksar hai nāseh
tū kab tak mire muñh ko dhotā rahegā
bas ai girya āñkheñ tirī kyā nahīñ haiñ
kahāñ tak jahāñ ko Dubotā rahegā
mire dil ne vo naala paidā kiyā hai
jaras ke bhī jo hosh khotā rahegā
tū yuuñ gāliyāñ ġhair ko shauq se de
hameñ kuchh kahegā to hotā rahegā
bas ai 'mīr' mizhgāñ se poñchh āñsuoñ ko
tū kab tak ye motī pirotā rahegā
Top Urdushayar.com