Meer Taqi Meer

aam hukm-e-sharab karta hun

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aam hukm-e-sharāb kartā huuñ
mohtasib ko kabāb kartā huuñ
Tuk to rah ai binā-e-hastī tū
tujh ko kaisā ḳharāb kartā huuñ
bahs kartā huuñ ho ke abjad-ḳhvāñ
kis qadar be-hisāb kartā huuñ
koī bujhtī hai ye bhaḌak meñ abas
tishnagī par itaab kartā huuñ
sar talak āb-e-teġh meñ huuñ ġharq
ab ta.iiñ aab aab kartā huuñ
jī meñ phirtā hai 'mīr' vo mere
jāgtā huuñ ki ḳhvāb kartā huuñ
Top Urdushayar.com