ab  ke  bhī  sair  baaġh  kī  jī  meñ  havas  rahī
apnī  jagah  bahār  meñ  kunj-e-qafas  rahī
maiñ  pā-shikasta  jā  na  sakā  qāfile  talak
aatī  agarche  der  sadā-e-jaras  rahī
lutf  qabā-e-tañg  pe  gul  kā  bajā  hai  naaz
dekhī  nahīñ  hai  un  ne  tirī  cholī  chus  rahī
din-rāt  merī  āñkhoñ  se  aañsū  chale  ga.e
barsāt  ab  ke  shahr  meñ  saare  baras  rahī
ḳhālī  shaguftagī  se  jarāhat  nahīñ  koī
har  zaḳhm  yaañ  hai  jaise  kalī  ho  box  rahī
dīvāngī  kahāñ  ki  garebāñ  se  tañg  huuñ
gardan  mirī  hai  tauq  meñ  goyā  ki  phañs  rahī
joñ  sub.h  is  chaman  meñ  na  ham  khul  ke  hañs  sake
fursat  rahī  jo  'mīr'  bhī  so  yak-nafas  rahī