kyā  kahiye  kyā  rakkheñ  haiñ  ham  tujh  se  yaar  ḳhvāhish
yak  jaan  o  sad  tamannā  yak  dil  hazār  ḳhvāhish
le  haath  meñ  qafas  Tuk  sayyād  chal  chaman  tak
muddat  se  hai  hameñ  bhī  sair-e-bahār  ḳhvāhish
ne  kuchh  gunah  hai  dil  kā  ne  jurm-e-chashm  is  meñ
rakhtī  hai  ham  ko  itnā  be-iḳhtiyār  ḳhvāhish
hālāñki  umr  saarī  māyūs  guzrī  tis  par
kyā  kyā  rakheñ  haiñ  us  ke  ummīd-vār  ḳhvāhish
ġhairat  se  dostī  kī  kis  kis  se  ho  je  dushman
rakhtā  hai  yaarī  hī  kī  saarā  dayār  ḳhvāhish
ham  mehr  o  raz  kyuuñ  kar  ḳhālī  hoñ  aarzū  se
sheva  yahī  tamannā  fan  o  shi.ār  ḳhvāhish
uThtī  hai  mauj  har  yak  āġhosh  hī  kī  sūrat
dariyā  ko  hai  ye  kis  kā  bos  o  kanār  ḳhvāhish
sad  rañg  jalva-gar  hai  har  jaada  ġhairat  gul
āshiq  kī  ek  paave  kyuuñ  kar  qarār  ḳhvāhish
yak  baar  bar  na  aa.e  us  se  ummīd  dil  kī
iz.hār  karte  kab  tak  yuuñ  baar  baar  ḳhvāhish
karte  haiñ  sab  tamannā  par  'mīr'  jī  na  itnī
rakkhegī  maar  tum  ko  pāyān-e-kār  ḳhvāhish