ga.e  jī  se  chhūTe  butoñ  kī  jafā  se
yahī  baat  ham  chāhte  the  ḳhudā  se
vo  apnī  hī  ḳhūbī  pe  rahtā  hai  nāzāñ
maro  yā  jiyo  koī  us  kī  balā  se
koī  ham  se  khulte  haiñ  band  us  qabā  ke
ye  uqde  khuleñge  kaso  kī  duā  se
pashemān  tauba  se  hogā  adam  meñ
ki  ġhāfil  chalā  shaiḳh  lutf-e-havā  se
na  rakhī  mirī  ḳhaak  bhī  us  galī  meñ
kudūrat  mujhe  hai  nihāyat  sabā  se
jigar-sūī-e-mizhgāñ  khiñchā  jaa.e  hai  kuchh
magar  dīda-e-tar  haiñ  lohū  ke  pyāse
agar  chashm  hai  to  vahī  ain  haq  hai
ta.assub  tujhe  hai  ajab  mā-sivā  se
tabīb  subuk-e-aql  hargiz  na  samjhā
huā  dard-e-ishq  aah  duunā  davā  se
Tak  ai  mudda.ī  chashm-e-insāf  vā  kar
ki  baiThe  haiñ  ye  qāfiye  kis  adā  se
na  shikva  shikāyat  na  harf-o-hikāyat
kaho  'mīr'  jī  aaj  kyuuñ  ho  ḳhafā  se