amīroñ  tak  rasā.ī  ho  chukī  bas
mirī  baḳht-āzmā.ī  ho  chukī  bas
bahār  ab  ke  bhī  jo  guzrī  qafas  meñ
to  phir  apnī  rihā.ī  ho  chukī  bas
kahāñ  tak  us  se  qissa  qaziya  har  shab
bahut  bāham  laḌā.ī  ho  chukī  bas
na  aayā  vo  mire  jaate  jahāñ  se
yahīñ  tak  āshnā.ī  ho  chukī  bas
lagā  hai  hausla  bhī  karne  tañgī
ġhamoñ  kī  ab  samā.ī  ho  chukī  bas
barābar  ḳhaak  ke  to  kar  dikhāyā
falak  bas  be-adā.ī  ho  chukī  bas
danī  ke  paas  kuchh  rahtī  hai  daulat
hamāre  haath  aa.ī  ho  chukī  bas
dikhā  us  but  ko  phir  bhī  yā  ḳhudāyā
tirī  qudrat-numā.ī  ho  chukī  bas
sharar  kī  sī  hai  chashmak  fursat-e-umr
jahāñ  de  Tuk  dikhā.ī  ho  chukī  bas
gale  meñ  gervī  kafnī  hai  ab  'mīr'
tumhārī  mīrzā.ī  ho  chukī  bas