mausam-e-gul  aayā  hai  yaaro  kuchh  merī  tadbīr  karo
yaanī  sāya-e-sarv-o-gul  meñ  ab  mujh  ko  zanjīr  karo
pesh-e-sa.āyat  kyā  jaa.e  hai  haq  hai  merī  taraf  so  hai
maiñ  to  chup  baiThā  huuñ  yaksū  gar  koī  taqrīr  karo
kaan  lagā  rahtā  hai  ġhair  us  shoḳh  kamāñ  abrū  ke  bahut
is  to  gunāh-e-azīm  pe  yaaro  naak  meñ  us  kī  tiir  karo
pher  diye  haiñ  dil  logoñ  ke  mālik  ne  kuchh  merī  taraf
tum  bhī  Tuk  ai  āh-o-nāla  qalboñ  meñ  tāsīr  karo
aage  hī  āzurda  haiñ  ham  dil  haiñ  shikasta  hamāre  sab
harf-e-ranjish  biich  meñ  lā  kar  aur  na  ab  dil-gīr  karo
sher  kiye  mauzūñ  to  aise  jin  se  ḳhush  haiñ  sāhib-e-dil
roveñ  kuḌheñ  jo  yaad  kareñ  ab  aisā  tum  kuchh  'mīr'  karo