raat  pyāsā  thā  mere  lohū  kā
huuñ  divāna  tire  sag  ko  kā
shola-e-āh  jūñ-tūñ  ab  mujh  ko
fikr  hai  apne  har  bin  mū  kā
hai  mire  yaar  kī  misoñ  kā  rashk
kushta  huuñ  sabza-e-lab-e-jū  kā
bosa  denā  mujhe  na  kar  mauqūf
hai  vazīfa  yahī  duā-go  kā
maiñ  ne  talvār  se  hiran  maare
ishq  kar  terī  chashm-o-abrū  kā
shor  qulqul  ke  hotī  thī  maane
rīsh-e-qāzī  pe  raat  maiñ  thūkā
itr-āgīñ  hai  bād-e-sub.h  magar
khul  gayā  pech-e-zulf  ḳhushbū  kā
ek  do  huuñ  to  sahar-e-chashm  kahūñ
kārḳhāna  hai  vaañ  to  jaadū  kā
'mīr'  har-chand  maiñ  ne  chāhā  lek
na  chhupā  ishq-e-tifl  bad-ḳhū  kā
naam  us  kā  liyā  idhar-ūdhar
uḌ  gayā  rañg  hī  mire  rū  kā