jaanā  ki  shaġhl  rakhte  ho  tīr-o-kamāñ  se  tum
par  mil  chalā  karo  bhī  kaso  ḳhasta-jāñ  se  tum
ham  apnī  chaak  jeb  ko  sī  rahte  yā  nahīñ
phāTe  meñ  paañv  dene  ko  aa.e  kahāñ  se  tum
ab  dekhte  haiñ  ḳhuub  to  vo  baat  hī  nahīñ
kyā  kyā  vagarna  kahte  the  apnī  zabāñ  se  tum
tinke  bhī  tum  Thaharte  kahīñ  dekhe  haiñ  tanik
chashm-e-vafā  rakho  na  ḳhasān-e-jahāñ  se  tum
jaao  na  dil  se  manzar-e-tan  meñ  hai  jā  yahī
pachhtāoge  uThoge  agar  is  makāñ  se  tum
qissa  mirā  sunoge  to  jaatī  rahegī  niiñd
ārām  chashm  mat  rakho  is  dāstāñ  se  tum
khul  jā.eñgī  phir  āñkheñ  jo  mar  jā.egā  koī
aate  nahīñ  ho  baaz  mire  imtihāñ  se  tum
jitne  the  kal  tum  aaj  nahīñ  paate  itnā  ham
har-dam  chale  hī  jaate  ho  āb-e-ravāñ  se  tum
rahte  nahīñ  ho  ban  ga.e  'mīr'  us  galī  meñ  raat
kuchh  raah  bhī  nikālo  sag-o-pāsbāñ  se  tum