ek  parvāz  ko  bhī  ruḳhsat-e-sayyād  nahīñ
varna  ye  kunj-e-qafas  baiza-e-faulād  nahīñ
shaiḳh-e-uzlat  to  tah-e-ḳhāk  bhī  pahuñchegī  baham
muft  hai  sair  ki  ye  ālam-e-ījād  nahīñ
daad  le  chhoḌūñ  maiñ  sayyād  se  apnī  lekin
zo.af  se  mere  ta.iiñ  tāqat-e-faryād  nahīñ
kyuuñ  hī  ma.azūr  bhī  rakh  yuuñ  to  samajh  dil  meñ  shaiḳh
ye  qadah-ḳhvār  mire  qābil-e-irshād  nahīñ
be-sutūñ  bhī  hai  vahī  aur  vahī  jū-e-shīr
thā  namak  shohrat-e-shīrīñ  kā  so  farhād  nahīñ
kyā  kahūñ  'mīr'  farāmosh  kiyā  un  ne  tujhe
maiñ  to  taqrīb  bhī  kī  par  tū  use  yaad  nahīñ