kyā  kaheñ  apnī  us  kī  shab  kī  baat
kahiye  hove  jo  kuchh  bhī  Dhab  kī  baat
ab  to  chup  lag  ga.ī  hai  hairat  se
phir  khulegī  zabān  jab  kī  baat
nukta-dānān-e-rafta  kī  na  kaho
baat  vo  hai  jo  hove  ab  kī  baat
kis  kā  rū-e-suḳhan  nahīñ  hai  udhar
hai  nazar  meñ  hamārī  sab  kī  baat
zulm  hai  qahr  hai  qayāmat  hai
ġhusse  meñ  us  ke  zer-e-lab  kī  baat
kahte  haiñ  aage  thā  butoñ  meñ  rahm
hai  ḳhudā  jāniye  ye  kab  kī  baat
go  ki  ātish-zabāñ  the  aage  'mīr'
ab  kī  kahiye  ga.ī  vo  tab  kī  baat