rahtā  hai  haDDiyoñ  se  mirī  jo  humā  lagā
kuchh  dard-e-āshiqī  kā  use  bhī  maza  lagā
ġhāfil  na  soz-e-ishq  se  rah  phir  kabāb  hai
gar  lā.ehā  us  aag  kā  Tak  dil  ko  jā  lagā
dekhā  hameñ  jahāñ  vo  tahāñ  aag  ho  gayā
bhaḌkā  rakhā  hai  logoñ  ne  is  ko  lagā  lagā
mohlat  tanik  bhī  ho  to  suḳhan  kuchh  asar  kare
maiñ  uTh  gayā  ki  ġhair  tire  kānoñ  aa  lagā
ab  āb-e-chashm  hī  hai  hamārā  muhīt-e-ḳhalq
dariyā  ko  ham  ne  kab  kā  kināre  rakhā  lagā
har-chand  us  kī  teġh-e-sitam  thī  buland  lek
vo  taur  bad  hameñ  to  qayāmat  bhalā  lagā
majlis  meñ  us  kī  baar  na  mujh  ko  milī  kabhū
darvāze  hī  se  garche  bahut  maiñ  rahā  lagā
bosa  laboñ  kā  māñgte  hī  muñh  bigaḌ  gayā
kyā  itnī  merī  baat  kā  tum  ko  burā  lagā
aalam  kī  sair  'mīr'  kī  sohbat  meñ  ho  ga.ī
tāle.a  se  mere  haath  ye  be-dast-o-pā  lagā