Meer Taqi Meer

band-e-qaba ko KHuban jis waqt wa karenge

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
band-e-qabā ko ḳhūbāñ jis vaqt vā kareñge
ḳhamyāza-kash jo hoñge milne ke kyā kareñge
ronā yahī hai mujh ko terī jafā se har-dam
ye dil-dimāġh donoñ kab tak vafā kareñge
hai diin sar kā denā gardan pe apnī ḳhūbāñ
jiite haiñ to tumhārā ye qarz adā kareñge
darvesh haiñ ham āḳhir do-ik nigah kī ruḳhsat
goshe meñ baiThe pyāre tum ko duā kareñge
āḳhir to roze aa.e do-chār roz ham bhī
tarsā bachoñ meñ jā kar daarū piyā kareñge
kuchh to kahegā ham ko ḳhāmosh dekh kar vo
is baat ke liye ab chup hī rahā kareñge
aalam mire hai tujh par aa.ī agar qayāmat
terī galī ke har-sū mahshar huā kareñge
dāmān-e-dasht sūkhā abroñ kī be-tahī se
jañgal meñ rone ko ab ham bhī chalā kareñge
laa.ī tirī galī tak āvārgī hamārī
zillat kī apnī ab ham izzat kiyā kareñge
ahvāl-e-'mīr' kyūñkar āḳhir ho ek shab meñ
ik umr ham ye qissa tum se kahā kareñge
Top Urdushayar.com