band-e-qabā  ko  ḳhūbāñ  jis  vaqt  vā  kareñge
ḳhamyāza-kash  jo  hoñge  milne  ke  kyā  kareñge
ronā  yahī  hai  mujh  ko  terī  jafā  se  har-dam
ye  dil-dimāġh  donoñ  kab  tak  vafā  kareñge
hai  diin  sar  kā  denā  gardan  pe  apnī  ḳhūbāñ
jiite  haiñ  to  tumhārā  ye  qarz  adā  kareñge
darvesh  haiñ  ham  āḳhir  do-ik  nigah  kī  ruḳhsat
goshe  meñ  baiThe  pyāre  tum  ko  duā  kareñge
āḳhir  to  roze  aa.e  do-chār  roz  ham  bhī
tarsā  bachoñ  meñ  jā  kar  daarū  piyā  kareñge
kuchh  to  kahegā  ham  ko  ḳhāmosh  dekh  kar  vo
is  baat  ke  liye  ab  chup  hī  rahā  kareñge
aalam  mire  hai  tujh  par  aa.ī  agar  qayāmat
terī  galī  ke  har-sū  mahshar  huā  kareñge
dāmān-e-dasht  sūkhā  abroñ  kī  be-tahī  se
jañgal  meñ  rone  ko  ab  ham  bhī  chalā  kareñge
laa.ī  tirī  galī  tak  āvārgī  hamārī
zillat  kī  apnī  ab  ham  izzat  kiyā  kareñge
ahvāl-e-'mīr'  kyūñkar  āḳhir  ho  ek  shab  meñ
ik  umr  ham  ye  qissa  tum  se  kahā  kareñge