kal  shab-e-hijrāñ  thī  lab  par  naala  bīmārāna  thā
shaam  se  tā  sub.h  dam-e-bālīñ  pe  sar  yakjā  na  thā
shohra-e-ālam  use  yumn-e-mohabbat  ne  kiyā
varna  majnūñ  ek  ḳhaak  uftāda-e-vīrāna  thā
manzil  us  mah  kī  rahā  jo  muddatoñ  ai  ham-nashīñ
ab  vo  dil  goyā  ki  ik  muddat  kā  mātam-ḳhāna  thā
ik  nigāh-e-āshnā  ko  bhī  vafā  kartā  nahīñ
vā  huiiñ  mizhgāñ  ki  sabza  sabza-e-begāna  thā
roz  o  shab  guzre  hai  pech-o-tāb  meñ  rahte  tujhe
ai  dil-e-sad-chāk  kis  kī  zulf  kā  tū  shāna  thā
yaad  ayyāme  ki  apne  roz  o  shab  kī  jā-e-bāsh
yā  dar-e-bāz-e-bayābāñ  yā  dar-e-mai-ḳhāna  thā
jis  ko  dekhā  ham  ne  is  vahshat-kade  meñ  dahr  ke
yā  siḌī  yā  ḳhabtī  yā  majnūn  yā  dīvāna  thā
baad  ḳhūñ-rezī  ke  muddat  be-hinā  rañgīñ  rahā
haath  us  kā  jo  mire  lohū  meñ  gustāḳhāna  thā
ġhair  ke  kahne  se  maarā  un  ne  ham  ko  be-gunāh
ye  na  samjhā  vo  ki  vaaqe  meñ  bhī  kuchh  thā  yā  na  thā
sub.h  hote  vo  binā-gosh  aaj  yaad  aayā  mujhe
jo  girā  dāman  pe  aañsū  gauhar-e-yak-dāna  thā
shab  faroġh-e-bazm  kā  baa.is  huā  thā  husn-e-dost
sham.a  kā  jalva  ġhubār-e-dīda-e-parvāna  thā
raat  us  kī  chashm-e-maigūñ  ḳhvāb  meñ  dekhī  thī  maiñ
sub.h  sote  se  uThā  to  sāmne  paimāna  thā
rahm  kuchh  paidā  kiyā  shāyad  ki  us  be-rahm  ne
gosh  us  kā  shab  idhar  tā  āḳhir-e-afsāna  thā
'mīr'  bhī  kyā  mast  tāfeh  thā  sharāb-e-ishq  kā
lab  pe  āshiq  ke  hamesha  nāra-e-mastāna  thā