jab  junūñ  se  hameñ  tavassul  thā
apnī  zanjīr-e-pā  hī  kā  ġhul  thā
bistara  thā  chaman  meñ  joñ  bulbul
naala  sarmāya-e-tavakkul  thā
yak  nigah  ko  vafā  na  kī  goyā
mausam-e-gul  safīr-e-bulbul  thā
un  ne  pahchān  kar  hameñ  maarā
muñh  na  karnā  idhar  tajāhul  thā
shahr  meñ  jo  nazar  paḌā  us  kā
kushta-e-nāz  yā  taġhāful  thā
ab  to  dil  ko  na  taab  hai  na  qarār
yād-e-ayyām  jab  tahammul  thā
jā  phañsā  dām-e-zulf  meñ  āḳhir
dil  nihāyat  hī  be-tāmmul  thā
yuuñ  ga.ī  qad  ke  ḳham  hue  jaise
umr  ik  rahrav  sar-e-pul  thā
ḳhuub  daryāft  jo  kiyā  ham  ne
vaqt-e-ḳhush  'mīr'  nik.hat-e-gul  thā