jin  jin  ko  thā  ye  ishq  kā  āzār  mar  ga.e
aksar  hamāre  saath  ke  bīmār  mar  ga.e
hotā  nahīñ  hai  us  lab-e-nau-ḳhat  pe  koī  sabz
iisā  o  ḳhizr  kyā  sabhī  yak-bār  mar  ga.e
yuuñ  kānoñ-kān  gul  ne  na  jaanā  chaman  meñ  aah
sar  ko  paTak  ke  ham  pas-e-dīvār  mar  ga.e
sad  kārvāñ  vafā  hai  koī  pūchhtā  nahīñ
goyā  matā-e-dil  ke  ḳharīdār  mar  ga.e
majnūñ  na  dasht  meñ  hai  na  farhād  koh  meñ
thā  jin  se  lutf-e-zindagī  ve  yaar  mar  ga.e
gar  zindagī  yahī  hai  jo  karte  haiñ  ham  asiir
to  ve  hī  jī  ga.e  jo  giraftār  mar  ga.e
afsos  ve  shahīd  ki  jo  qatl-gāh  meñ
lagte  hī  us  ke  haath  kī  talvār  mar  ga.e
tujh  se  do-chār  hone  kī  hasrat  ke  mubtilā
jab  jī  hue  vabāl  to  nā-chār  mar  ga.e
ghabrā  na  'mīr'  ishq  meñ  us  sahal-e-zīst  par
jab  bas  chalā  na  kuchh  to  mire  yaar  mar  ga.e