siina  hai  chāk-e-jigar  paara  hai  dil  sab  ḳhuuñ  hai
tis  pe  ye  jān-ba-lab  āmada  bhī  mahzūñ  hai
us  se  āñkhoñ  ko  milā  jī  meñ  rahe  kyūñkar  taab
chashm-e-e.ajāz-e-mizha  sahar-e-nigah-e-afsūñ  hai
aah  ye  rasm-e-vafā  hove  bar-uftād  kahīñ
is  sitam  par  bhī  mirā  dil  usī  kā  mamnūñ  hai
kabhū  is  dasht  se  uThtā  hai  jo  ek  abr  tanik
gard-e-namnāk  pareshāñ  shuda-e-majnūñ  hai
kyūñke  be-bāda  lab-e-jū  pe  chaman  meñ  rahiye
aks-e-gul  aab  meñ  taklīf-e-mai-e-gul-gūñ  hai
paar  bhī  ho  na  kaleje  ke  to  phir  kyā  bulbul
misra-nāla  jigar-kāvī  hai  go  mauzūñ  hai
shahr  kitnā  jo  koī  un  meñ  sarishk-e-afshāñ  ho
rū-kash-e-giryā-e-ġham  hausla-e-hamūñ  hai
ḳhuun  har  yak  raqam  shauq  se  Tapke  thā  vale
vo  na  samjhā  ki  mire  naame  kā  kyā  mazmūñ  hai
'mīr'  kī  baat  pe  har  vaqt  ye  jhunjhlāyā  na  kar
saḌī  hai  ḳhabtī  hai  vo  shefta  hai  majnūñ  hai