kahnā  tire  muñh  par  to  nipaT  be-adabī  hai
zāhid  jo  sifat  tujh  meñ  hai  sozan-e-jalbī  hai
is  dasht  meñ  ai  sail  sambhal  hī  ke  qadam  rakh
har  samt  ko  yaañ  dafn  marī  tishna-labī  hai
har  ik  se  kahā  niiñd  meñ  par  koī  na  samjhā
shāyad  ki  mire  haal  kā  qissa  arabī  hai
uzlat  se  nikal  shaiḳh  ki  tere  liye  tayār
koī  haft-gazī  meḳh  koī  dah-vajabī  hai
ai  charḳh  na  tū  roz-e-siyah  'mīr'  pe  laanā
bechāra  vo  ik  na.ara-zan  nīm-shabī  hai