jī  meñ  hai  yaad  ruḳh-o-zulf-e-siyah-fām  bahut
ronā  aatā  hai  mujhe  har  sahar-o-shām  bahut
dast-e-sayyād  talak  bhī  na  maiñ  pahuñchā  jiitā
be-qarārī  ne  liyā  mujh  ko  tah-e-dām  bahut
ek  do  chashmak  idhar  gardish-e-sāġhar  ki  mudām
sar  chaḌhī  rahtī  hai  ye  gardish-e-ayyām  bahut
dil-ḳharāshī-o-jigar-chākī-o-ḳhūñ-afshānī
huuñ  to  nākām  pe  rahte  haiñ  mujhe  kaam  bahut
rah  gayā  dekh  ke  tujh  chashm  pe  ye  satar-e-mizha
sāqiyā  yuuñ  to  paḌhe  the  maiñ  ḳhat-e-jām  bahut
phir  na  aa.e  jo  hue  ḳhaak  meñ  jā  āsūda
ġhāliban  zer-e-zamīñ  'mīr'  hai  ārām  bahut