kyā  bulbul  asiir  hai  be-bāl-o-par  ki  ham
gul  kab  rakhe  hai  TukḌe  jigar  is  qadar  ki  ham
ḳhurshīd  sub.h  nikle  hai  is  nuur  se  ki  to
shabnam  girah  meñ  rakhtī  hai  ye  chashm-e-tar  ki  ham
jiite  haiñ  to  dikhā  deñge  dāva-e-andalīb
gul  bin  ḳhizāñ  meñ  ab  ke  vo  rahtī  hai  mar  ki  ham
ye  teġh  hai  ye  tasht  hai  ye  ham  haiñ  kushtanī
khele  hai  kaun  aisī  tarah  jaan  par  ki  ham
talvāreñ  tum  lagāte  ho  ham  haiñge  dam-ba-ḳhud
duniyā  meñ  ye  kare  hai  koī  darguzar  ki  ham
is  justujū  meñ  aur  ḳharābī  to  kyā  kaheñ
itnī  nahīñ  huī  hai  sabā  dar-ba-dar  ki  ham
jab  jā  phañsā  kahīñ  to  hameñ  yaañ  huī  ḳhabar
rakhtā  hai  kaun  dil  tirī  itnī  ḳhabar  ki  ham
jiite  haiñ  aur  rote  haiñ  laḳht-e-jigar  hai  'mīr'
karte  sunā  hai  yuuñ  koī  qiima  jigar  ki  ham