dekhegā  jo  tujh  ro  ko  so  hairān  rahegā
vābasta  tire  mū  kā  pareshān  rahegā
va.ada  to  kiyā  is  se  dam-e-sub.h  kā  lekin
us  dam  ta.iiñ  mujh  meñ  bhī  agar  jaan  rahegā
mun.im  ne  banā  zulm  kī  rakh  ghar  to  banāyā
par  aap  koī  raat  hī  mehmān  rahegā
chhūTūñ  kahīñ  iizā  se  lagā  ek  hī  jallād
tā-hashr  mire  sar  pe  ye  ehsān  rahegā
chimTe  raheñge  dasht-e-mohabbat  meñ  sar-o-teġh
mahshar  ta.iiñ  ḳhālī  na  ye  maidān  rahegā
jaane  kā  nahīñ  shor  suḳhan  kā  mire  hargiz
tā-hashr  jahāñ  meñ  mirā  dīvān  rahegā
dil  dene  kī  aisī  harakat  un  ne  nahīñ  kī
jab  tak  jiyegā  'mīr'  pashemān  rahegā