mar  mar  ga.e  nazar  kar  us  ke  barhana  tan  meñ
kapḌe  utāre  un  ne  sar  khīñche  ham  kafan  meñ
gul  phuul  se  kab  us  bin  lagtī  haiñ  apnī  āñkheñ
laa.ī  bahār  ham  ko  zor-āvarī  chaman  meñ
ab  lāl-e-nau-ḳhat  us  ke  kam  baḳhshte  haiñ  farhat
quvvat  kahāñ  rahe  hai  yāqūti-e-kuhan  meñ
yūsuf  azīz-e-dilā  jā  misr  meñ  huā  thā
pākīza  gauharoñ  kī  izzat  nahīñ  vatan  meñ
dair  o  haram  se  tū  to  Tuk  garm-e-nāz  niklā
hañgāma  ho  rahā  hai  ab  shaiḳh  o  barhaman  meñ
aa  jaate  shahr  meñ  tū  jaise  ki  āñdhī  aa.ī
kyā  vahshateñ  kiyā  haiñ  ham  ne  divānpan  meñ
haiñ  ghaao  dil  par  apne  teġh-e-zabāñ  se  sab  kī
tab  dard  hai  hamāre  ai  'mīr'  har  suḳhan  meñ