ishq  meñ  zillat  huī  ḳhiffat  huī  tohmat  huī
āḳhir  āḳhir  jaan  dī  yāroñ  ne  ye  sohbat  huī
aks  us  be-dīd  kā  to  muttasil  paḌtā  thā  sub.h
din  chaḌhe  kyā  jānūñ  ā.īne  kī  kyā  sūrat  huī
lauh-e-sīna  par  mirī  sau  neza-e-ḳhattī  lage
ḳhastagī  is  dil-shikasta  kī  isī  bābat  huī
kholte  hī  āñkheñ  phir  yaañ  mūñdnī  ham  ko  paḌīñ
diid  kyā  koī  kare  vo  kis  qadar  mohlat  huī
paañv  merā  kalba-e-ahzāñ  meñ  ab  rahtā  nahīñ
rafta  rafta  us  taraf  jaane  kī  mujh  ko  lat  huī
mar  gayā  āvāra  ho  kar  maiñ  to  jaise  gard-bād
par  jise  ye  vāqi.a  pahuñchā  use  vahshat  huī
shaad  o  ḳhush-tāle  koī  hogā  kisū  ko  chaah  kar
maiñ  to  kulfat  meñ  rahā  jab  se  mujhe  ulfat  huī
dil  kā  jaanā  aaj  kal  taaza  huā  ho  to  kahūñ
guzre  us  bhī  sānehe  ko  ham-nashīñ  muddat  huī
shauq-e-dil  ham  nā-tavānoñ  kā  likhā  jaatā  hai  kab
ab  talak  aap  hī  pahuñchne  kī  agar  tāqat  huī
kyā  kaf-e-dast  ek  maidāñ  thā  bayābāñ  ishq  kā
jaan  se  jab  us  meñ  guzre  tab  hameñ  rāhat  huī
yuuñ  to  ham  ājiz-tarīn-e-ḳhalq-e-ālam  haiñ  vale
dekhiyo  qudrat  ḳhudā  kī  gar  hameñ  qudrat  huī
gosh  zad  chaT-paT  hī  marnā  ishq  meñ  apne  huā
kis  ko  is  bīmāri-e-jāñkāh  se  fursat  huī
be-zabāñ  jo  kahte  haiñ  mujh  ko  so  chup  rah  jā.eñge
mārke  meñ  hashr  ke  gar  baat  kī  ruḳhsat  huī
ham  na  kahte  the  ki  naqsh  us  kā  nahīñ  naqqāsh  sahl
chāñd  saarā  lag  gayā  tab  nīm-ruḳh  sūrat  huī
is  ġhazal  par  shaam  se  to  sūfiyoñ  ko  vajd  thā
phir  nahīñ  mālūm  kuchh  majlis  kī  kyā  hālat  huī
kam  kisū  ko  'mīr'  kī  mayyat  kī  haath  aa.ī  namāz
na.ash  par  us  be-sar-o-pā  kī  balā  kasrat  huī