kyā  musībat-zada  dil  mā.il-e-āzār  na  thā
kaun  se  dard-o-sitam  kā  ye  taraf-dār  na  thā
ādam-e-ḳhākī  se  aalam  ko  jilā  hai  varna
ā.īna  thā  ye  vale  qābil-e-dīdār  na  thā
dhuup  meñ  jaltī  haiñ  ġhurbat  vatanoñ  kī  lāsheñ
tere  kūche  meñ  magar  sāya-e-dīvār  na  thā
sad  gulistāñ  tā-yak  baal  the  us  ke  jab  tak
tā.ir-e-jāñ  qafas-e-tan  kā  giraftār  na  thā
haif  samjhā  hī  na  vo  qātil  nādāñ  varna
be-gunah  mārne  qābil  ye  gunahgār  na  thā
ishq  kā  jazb  huā  bā.is-e-saudā  varna
yūsuf-e-misr  zuleḳhā  kā  ḳharīdār  na  thā
narm-tar  mom  se  bhī  ham  ko  koī  detī  qazā
sañg  chhātī  kā  to  ye  dil  hameñ  darkār  na  thā
raat  hairān  huuñ  kuchh  chup  hī  mujhe  lag  ga.ī  'mīr'
dard  pinhāñ  the  bahut  par  lab-e-iz.hār  na  thā