kab  tak  tū  imtihāñ  meñ  mujh  se  judā  rahegā
jiitā  huuñ  to  tujhī  meñ  ye  dil  lagā  rahegā
yaañ  hijr  aur  ham  meñ  bigḌī  hai  kab  kī  sohbat
zaḳhm-e-dil-o-namak  meñ  kab  tak  maza  rahegā
tū  barsoñ  meñ  mile  hai  yaañ  fikr  ye  rahe  hai
jī  jā.egā  hamārā  ik-dam  ko  yā  rahegā
mere  na  hone  kā  to  hai  iztirāb  yuuñ  hī
aayā  hai  jī  laboñ  par  ab  kyā  hai  jā  rahegā
ġhāfil  na  rahiyo  hargiz  nādān  dāġh-e-dil  se
bhaḌkegā  jab  ye  sho.ala  tab  ghar  jalā  rahegā
marne  pe  apne  mat  jā  sālik  talab  meñ  us  kī
go  sar  ko  kho  rahegā  par  us  ko  pā  rahegā
umr-e-azīz  saarī  dil  hī  ke  ġham  meñ  guzrī
bīmār  āshiqī  ye  kis  din  bhalā  rahegā
dīdār  kā  to  va.ada  mahshar  meñ  dekh  kar  kar
bīmār  ġham  meñ  tere  tab  tak  to  kyā  rahegā
kyā  hai  jo  uTh  gayā  hai  par  basta-e-vafā  hai
qaid-e-hayāt  meñ  hai  tū  'mīr'  aa  rahegā