ai  abr-e-tar  tū  aur  kisī  samt  ko  baras
is  mulk  meñ  hamārī  hai  ye  chashm-e-tar  hī  bas
hirmāñ  to  dekh  phuul  bikhere  thī  kal  sabā
ik  barg-e-gul  girā  na  jahāñ  thā  mirā  qafas
mizhgāñ  bhī  bah  ga.iiñ  mire  rone  se  chashm  kī
sailāb  mauj  maare  to  Thahre  hai  koī  ḳhas
majnūñ  kā  dil  huuñ  mahmil-e-lailā  se  huuñ  judā
tanhā  phirūñ  huuñ  dasht  meñ  juuñ  nāla-e-jaras
ai  girya  us  ke  dil  meñ  asar  ḳhuub  hī  kiyā
rotā  huuñ  jab  maiñ  sāmne  us  ke  tuude  hai  hañs
us  kī  zabāñ  ke  ohde  se  kyūñkar  nikal  sakūñ
kahtā  huuñ  ek  maiñ  to  sunātā  hai  mujh  ko  das
hairāñ  huuñ  'mīr'  naza.a  meñ  ab  kyā  karūñ  bhalā
ahvāl-e-dil  bahut  hai  mujhe  fursat  ik  nafas