kiyā  maiñ  ne  ro  kar  fishār-e-garebāñ
rag-e-abr  thā  tār-tār-e-garebāñ
kahīñ  dast-e-chālāk  nāḳhun  na  laage
ki  siina  hai  qurb-o-javār-e-garebāñ
nishāñ  ashk-e-ḳhūnīñ  ke  uḌte  chale  haiñ
ḳhizāñ  ho  chalī  hai  bahār-e-garebāñ
junūñ  terī  minnat  hai  mujh  par  ki  tū  ne
na  rakkhā  mire  sar  pe  bār-e-garebāñ
ziyārat  karūñ  dil  se  ḳhasta-jigar  kī
kahāñ  hogī  yārab  mazār-e-garebāñ
kahīñ  jaa.e  ye  daur-e-dāman  bhī  jaldī
ki  āḳhir  huā  rozgār-e-garebāñ
phirūñ  'mīr'  uryāñ  na  dāman  kā  ġham  ho
na  baaqī  rahe  ḳhār-ḳhār-e-garebāñ