jo  tū  hī  sanam  ham  se  be-zār  hogā
to  jiinā  hameñ  apnā  dushvār  hogā
ġham-e-hijr  rakkhegā  be-tāb  dil  ko
hameñ  kuḌhte  kuḌhte  kuchh  āzār  hogā
jo  ifrāt-e-ulfat  hai  aisā  to  āshiq
koī  din  meñ  barsoñ  kā  bīmār  hogā
uchaTtī  mulāqāt  kab  tak  rahegī
kabhū  to  tah-e-dil  se  bhī  yaar  hogā
tujhe  dekh  kar  lag  gayā  dil  na  jaanā
ki  us  sañg-dil  se  hameñ  pyaar  hogā
lagā  karne  hijrān  saḳhtī  se  saḳhtī
ḳhudā  jaane  kyā  āḳhir-e-kār  hogā
yahī  hogā  kyā  hogā  'mīr'  hī  na  hoñge
jo  tū  hogā  be-yār  ġham-ḳhvār  hogā