betābiyoñ  meñ  tañg  ham  aa.e  haiñ  jaan  se
vaqt-e-shakeb  ḳhush  ki  gayā  darmiyān  se
dāġh-e-farāq-o-hasrat-e-vasl  ārzū-e-dīd
kyā  kyā  liye  ga.e  tire  āshiq  jahān  se
ham  hāmushoñ  kā  zikr  thā  shab  us  kī  bazm  meñ
niklā  na  harf-e-ḳhair  kasū  kī  zabān  se
āb-e-ḳhizar  se  bhī  na  ga.ī  sozish-e-jigar
kyā  jāniye  ye  aag  hai  kis  dūdmān  se
juz  ishq  jañg-e-dahr  se  mat  paḌh  ki  ḳhush  haiñ  ham
us  qisse  kī  kitāb  meñ  us  dāstān  se
aane  kā  is  chaman  meñ  sabab  bekalī  huī
juuñ  barq  ham  taḌap  ke  gire  āshiyān  se
ab  chheḌ  ye  rakhī  hai  ki  āshiq  hai  to  kaheñ
al-qissa  ḳhush  guzartī  hai  us  bad-gumān  se
kiine  kī  mere  tujh  se  na  chāhegā  koī  daad
maiñ  kah  marūñgā  apne  har  ik  mehrbān  se
dāġhoñ  se  hai  chaman  jigar-e-'mīr'  dahr  meñ
un  ne  bhī  gul  chune  bahut  us  gulistān  se