thā  musta.ār  husn  se  us  ke  jo  nuur  thā
ḳhurshīd  meñ  bhī  us  hī  kā  zarra  zuhūr  thā
hañgāma  garm-kun  jo  dil-e-nā-subūr  thā
paidā  har  ek  naale  se  shor-e-nushūr  thā
pahuñchā  jo  aap  ko  to  maiñ  pahuñchā  ḳhudā  ke  ta.iiñ
mālūm  ab  huā  ki  bahut  maiñ  bhī  duur  thā
ātish  buland  dil  kī  na  thī  varna  ai  kalīm
yak  sho.ala  barq-e-ḳhiraman-e-sad-koh-e-tūr  thā
majlis  meñ  raat  ek  tire  partave  baġhair
kyā  sham.a  kyā  patañg  har  ik  be-huzūr  thā
us  fasl  meñ  ki  gul  kā  garebāñ  bhī  hai  havā
dīvāna  ho  gayā  so  bahut  zī-shu.ūr  thā
mun.im  ke  paas  qāqum  o  sanjāb  thā  to  kyā
us  rind  kī  bhī  raat  guzar  ga.ī  jo  uur  thā
ham  ḳhaak  meñ  mile  to  mile  lekin  ai  sip.har
us  shoḳh  ko  bhī  raah  pe  laanā  zarūr  thā
kal  paañv  ek  kāsa-e-sar  par  jo  aa  gayā
yaksar  vo  ustuḳhvān  shikastoñ  se  chuur  thā
kahne  lagā  ki  dekh  ke  chal  raah  be-ḳhabar
maiñ  bhī  kabhū  kisū  kā  sar-e-pur-ġhurūr  thā
thā  vo  to  rashk-e-hūr-e-bahishtī  hamīñ  meñ  'mīr'
samjhe  na  ham  to  fahm  kā  apnī  qusūr  thā