āh-e-sahar  ne  sozish-e-dil  ko  miTā  diyā
us  baav  ne  hameñ  to  diyā  sā  bujhā  diyā
samjhī  na  baad  sub.h  ki  aa  kar  uThā  diyā
is  fitna-e-zamāna  ko  nāhaq  jagā  diyā
poshīda  rāz-e-ishq  chalā  jaa.e  thā  sau  aaj
be-tāqatī  ne  dil  kī  vo  parda  uThā  diyā
us  mauj-ḳhez  dahr  meñ  ham  ko  qazā  ne  aah
paanī  ke  bulbule  kī  tarah  se  miTā  diyā
thī  laag  us  kī  teġh  ko  ham  se  sau  ishq  ne
donoñ  ko  ma.arke  meñ  gale  se  milā  diyā
sab  shor-e-mā-o-man  ko  liye  sar  meñ  mar  ga.e
yāroñ  ko  is  fasāne  ne  āḳhir  sulā  diyā
āvārgān-e-ishq  kā  pūchhā  jo  maiñ  nishāñ
musht-e-ġhubār  le  ke  sabā  ne  uḌā  diyā
ajzā  badan  ke  jitne  the  paanī  ho  bah  ga.e
āḳhir  gudāz  ishq  ne  ham  ko  bahā  diyā
kyā  kuchh  na  thā  azal  meñ  na  taalā  jo  the  durust
ham  ko  dil-shikasta  qazā  ne  dilā  diyā
goyā  muhāsba  mujhe  denā  thā  ishq  kā
us  taur  dil  sī  chiiz  ko  maiñ  ne  lagā  diyā
muddat  rahegī  yaad  tire  chehre  kī  jhalak
jalve  ko  jis  ne  maah  ke  jī  se  bhulā  diyā
ham  ne  to  sādgī  se  kyā  jī  kā  bhī  ziyāñ
dil  jo  diyā  thā  so  to  diyā  sar  judā  diyā
boī  kabāb  soḳhta  aa.ī  dimāġh  meñ
shāyad  jigar  bhī  ātish-e-ġham  ne  jilā  diyā
taklīf  dard-e-dil  kī  abas  ham-nashīñ  ne  kī
dard-e-suḳhan  ne  mere  sabhoñ  ko  rulā  diyā
un  ne  to  teġh  khīñchī  thī  par  jī  chalā  ke  'mīr'
ham  ne  bhī  ek  dam  meñ  tamāshā  dikhā  diyā