bāteñ  hamārī  yaad  raheñ  phir  bāteñ  aisī  na  suniyegā
paḌhte  kisū  ko  suniyegā  to  der  talak  sar  dhuniyegā
sa.ī  o  talāsh  bahut  sī  rahegī  is  andāz  ke  kahne  kī
sohbat  meñ  ulmā  fuzlā  kī  jā  kar  paḌhiye  ginyegā
dil  kī  tasallī  jab  ki  hogī  guft  o  shunūd  se  logoñ  kī
aag  phuñkegī  ġham  kī  badan  meñ  us  meñ  jaliye  bhuniyegā
garm  ash.ār  'mīr'  darūna  dāġhoñ  se  ye  bhar  deñge
zard-rū  shahr  meñ  phiriyegā  galiyoñ  meñ  ne  gul  chuniyegā