shab-e-dard-o-ġham  se  arsa  mire  jī  pe  tañg  thā
aayā  shab-e-firāq  thī  yā  roz-e-jañg  thā
kasrat  meñ  dard-o-ġham  kī  na  niklī  koī  tapish
kūcha  jigar  ke  zaḳhm  kā  shāyad  ki  tañg  thā
laayā  mire  mazār  pe  us  ko  ye  jazb-e-ishq
jis  bevafā  ko  naam  se  bhī  mere  nañg  thā
dekhā  hai  said-gā  meñ  tire  said  kā  jigar
bā-āñki  chhin  rahā  thā  pe  zauq-e-ḳhadañg  thā
dil  se  mire  lagā  na  tirā  dil  hazār  haif
ye  shīsha  ek  umr  se  mushtāq  sañg  thā
mat  kar  ajab  jo  'mīr'  tire  ġham  meñ  mar  gayā
jiine  kā  is  marīz  ke  koī  bhī  Dhañg  thā