sair  ke  qābil  hai  dil-sad-pāra  us  naḳhchīr  kā
jis  ke  har  TukḌe  meñ  ho  paivast  paikāñ  tiir  kā
sab  khulā  bāġh-e-jahāñ  illā  ye  hairān-o-ḳhafā
jis  ko  dil  samjhe  the  ham  so  ġhuncha  thā  tasvīr  kā
bū-e-ḳhūñ  se  jī  rukā  jaatā  hai  ai  bād-e-bahār
ho  gayā  hai  chaak  dil  shāyad  kaso  dil-gīr  kā
kyūñke  naqqāsh-e-azal  ne  naqsh  abrū  kā  kiyā
kaam  hai  ik  tere  muñh  par  khīñchnā  shamshīr  kā
rahguzar  sail-e-havādis  kā  hai  be-buniyād-e-dahr
is  ḳharābe  meñ  na  karnā  qasd  tum  ta.amīr  kā
bas  tabīb  uTh  jā  mirī  bālīñ  se  mat  de  dard-e-sar
kaam  yaañ  āḳhir  huā  ab  fā.eda  tadbīr  kā
nāla-kash  haiñ  ahd-e-pīrī  meñ  bhī  tere  dar  pe  ham
qadd-e-ḳham-gashta  hamārā  halqa  hai  zanjīr  kā
jo  tire  kūche  meñ  aayā  phir  vahīñ  gaaḌā  use
tishna-e-ḳhūñ  meñ  to  huuñ  us  ḳhāk-e-dāman-gīr  kā
ḳhuun  se  mere  huī  yak-dam  ḳhushī  tum  ko  to  lek
muft  meñ  jaatā  rahā  jī  ek  be-taqsīr  kā
laḳht-e-dil  se  juuñ  chhiḌī  phūloñ  kī  gūñdhī  hai  vale
fā.eda  kuchh  ai  jigar  is  āh-e-be-tāsīr  kā
gor-e-majanūñ  se  na  jāveñge  kahīñ  ham  be-navā
aib  hai  ham  meñ  jo  chhoḌeñ  Dher  apne  piir  kā
kis  tarah  se  māniye  yaaro  ki  ye  āshiq  nahīñ
rañg  uḌā  jaatā  hai  Tak  chehra  to  dekho  'mīr'  kā