Meer Taqi Meer

qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
qaabū ḳhizāñ se zo.af kā gulshan maiñ ban gayā
dosh-e-havā pe rañg-e-gul-o-yāsaman gayā
bargashta-baḳht dekh ki qāsid safar se maiñ
bhejā thā us ke paas so mere vatan gayā
ḳhātir-nishāñ ai said-fagan hogī kab tirī
tīroñ ke maare merā kaleja to chhan gayā
yādash-ba-ḳhair dasht meñ mānind-e-ankabūt
dāman ke apne taar jo ḳhāroñ pe tan gayā
maarā thā kis libās meñ uryānī ne mujhe
jis se tah-e-zamīn bhī maiñ be-kafan gayā
aa.ī agar bahār to ab ham ko kyā sabā
ham se to āshiyāñ bhī gayā aur chaman gayā
sarsabz mulk-e-hind meñ aisā huā ki 'mīr'
ye reḳhta likhā huā terā dakan gayā
Top Urdushayar.com