Meer Taqi Meer

na kisi se pas mere yar ka aana gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
nā kisī se paas mere yaar kā aanā gayā
bas gayā maiñ jaan se ab us se ye jaanā gayā
kuchh na dekhā phir ba-juz yak shola-e-pur-pech-o-tāb
sham.a tak to ham ne dekhā thā ki parvāna gayā
ek hī chashmak thī fursat sohbat-e-ahbāb kī
dīda-e-tar saath le majlis se paimāna gayā
gul khile sad rañg to kyā be-parī se a nasīm
muddateñ guzrīñ ki vo gulzār kā jaanā gayā
duur tujh se 'mīr' ne aisā ta.ab khīñchā ki shoḳh
kal jo maiñ dekhā use mutlaq na pahchānā gayā
Top Urdushayar.com